For Bhumika, an ode to friends

Ab to yaad bhi nahin hamein, Ki kab pehli baar mulakaat hui thi,

Shaayad bol bhi nahi sakte the hum, Tab pehli baar baat hui thi,

Na jaane kitne din, kitni shaamein, hamnein saath mein bitaayin hain,

Saath saath kitne aansu bahaaye, kitni khushiyaan manaayi hain,

Kuch is tarah sab saath the, ki bade ho gaye aur pata na chalaa,

Hamesha hi sab saath rahe, duuriyon ka ek pal bhi na khalaa,

Ab to itne bade ho gaye hain, ki dhadkanein badal rahi hain,

Raaste badal rahe hain, manzilein badal rahi hain,

Dheere dheere hum sab, thoda duur jaa rahe hain,

Abhi to shuruaat hi hai, aur lamhe yaad aa rahe hain,

Yun to hum sab ne, samandar chhupa rakh hai aankhon mein,

Par tere gham mein, ek aansu na bahaa paa rahe hain,

aur muskurati rahe tu, khuda se bas yahi fariyaad hai,

tere bina har lamhe mein, tere saath na hone ka ehsaas hai,

Kabhi bhi yaad aaye, bejhijhak yaad karna, ki fir tere saath khade honge,

Aakhir khud chahe na ho, dosti ke ankahe vaadon mein paas hain tere…